Qabro aur mazaro se faiz aur dastgiri
Devbandiyo ki martab shuda kitaab"arwahe salasa"me bayaan kiya jata hai "molvi moinuddin sahab hazrat maulana mohammed yaqoob sahab ke sab se bade sahabzaade the wo hazrat maulana ki ek karamat (jo baad wafaat waqaye huyi) bayaan farmate the ke ek martaba hamare nanota me jaada bukhar ki bahut kasrat huyi.. So jo shaks maulana(mahammed yaqoob) ki qabar se mitti le ja kar baandh leta usse hi aaraam ho jata.. Bus is kasrat se mitti le gaye ke jab dalwao tab hi khatam.. Kai martaba daal chuka.. Pareshaan ho kar ek dafa maulana ki qabar par ja kar kaha..ye sahabzaade bahut tez mizaj the.. Aap ki karamat ho gayi aur hamari musibat ho gayi.. Yaad rakho ke agar ab ke koi accha huwa to hum mitti na dalenge aise hi pade raho.. Log jota pahne tumhare upar aise hi chalenge.. Bus is din se fir kisi ko aaram na huwa.. Jaise shohrat aaram ki huyi thi waise hi ye shohrat ho gayi ke ab aaraam nahi hota.. Fir logo ne mitti le jana band kar diya.." [arwahe salasa-page275]
dekha aapne deobandiyo ke nazdeek buzrugo ki qabro se kaise kaise fayuz o barkaat hasil hote hain.. Is se ye bhi maloom huwa ke in ke yahan bhi auliya, mashayekh baad-az-wafaat bhi logo ko apni qabron se nafaa pahuchate hain aur is par in ka akhtiyar bhi hai kyunki shikayat hone par nafa rasani band bhi ki ja sakti hai.. Ab is tarah ke ek aur waqiya mulakhat farmaye ke kis tarah qabro aur mazaro se dastgiri o imdad bhi hoti hai.
Ashraf ali thanvi farmate:
"jab asar mazaar sharif ka bayaan aaya aap (yani haji imdadullah) ne farmaya ke mere hazrat ka ek jolaha mureed tha.. Baad inteqaal hazrat ke mazaar sareef par arz kiya ke hazrat bahut pareshaan aur rotiyon ka mohtaaj ho kuch dastgiri farmaye.. Hukum huwa k tum ko hamare mazaar se do aane ya aadh aana roz mila kare ga.. Ek martaba main ziyarat mazaar ko gaya wo shaks bhi hazir tha is ne kul kaifiyat bayaan kar ke kaha ke mujhe har roz wazeefa muqarrar yahi qabar se mila karta hai.. (haashiya) qaulaa wazeefa muqarrar.. Aqwaal ye munjumla karamaat ke hai.."
[imdad al mushtaaq-page123]
thanvi sahab ki is riwayat aur bayaan se maloom huwa ke in hazraat k nazdeek sahab mazaar se agar mushqil aur pareshani arz karke dastgiri ki darkhawast ki jaye to wo dastgiri aur madad karte hain.. Aam taur par to kitaab o sunnat ki roshni me aisi cheezon ke shirk hone me koi shak nahi magar chunke bayaan karne wale apne buzrug hain, jin ke mazaar se dastgiri huyi wo buzrugo ke bhi hazrat hain is liye yahan par ye baat karamaat hai.. Inna lillahi wa inna ilahi raajioon..
"Kya aiso ko shareek thahraate hai jo kisi cheez ko paida na kar sake aur wo khud paida kiye gaye ho_________be shak wo log jin ko tum pukaarte ho allah ko chhod kar (wo to khud) tum jaise hi bande hain"[al araaf:191,194]

Nice
ReplyDelete